Tuesday, March 2, 2010

sirf tumhare lie jaan.....

aye khuda aaj ye faisla kar de,
use mera ya mujhe uska kar de,

bahut dukh sahe hai maine
judai k is safar ko tu kaam kar de,

jitni duur chali gae hai wo mujhse,
unhe utna hi mere kareeb kar de,

nahi likha agar naseeb me uska naam,
to khatm kar de ye zindagi meri
aur mujhe fannah kar de..........

izhaar e mohabat....

mai lafzo me kuch bhi nahi izhaar nahi karta ,
iska matlab ye nahi k mai tujhse pyar nahi karta,

chahta hoon mai tujhe aaj bhi magar,
teri sooch me apna waqt bekaar nahi karta,

tamasha na ban jae mohabatt meeri,
is lie apni mohabatt ka zikarr nahi karta,

par kuch to baat hai tujhme warna....
tujhe chahne ki kahata mai baar baar nahi karta......

judai ka dard.....

fark sirf itna sa hai,uski doli uthi aur mera janaza utha,
phool us par bhi the phool mujh par bhi the,
mehfil waha bhi thi, log yaha bhi the,

unka hasna waha ,inka rona yahaan,
saheliyaan unki bhi thi,dost mere bhi the,
quazi waha bhi tha ,molvi yaha bhi tha,
wo saj k gai, mujhe sajaya gaya....

wo uth k gai mujhe uthaya gaya,,
fark sirf itna sa hai ...
use apnaya gaya aur mujhe dafnaya gaya.....